wahi talluq-e-KHatir jo barq-o-baad mein hai
vahī ta.alluq-e-ḳhātir jo barq-o-bād meñ hai
dil-e-sitam-zada kī hasrat-o-murād meñ hai
har ek ahd kī hotī hai ik ḳhusūsiyyat
hamāre daur meñ yaksāniyat tazād meñ hai
kisī natīje pe pahuñche haiñ ġhaur-o-fikr ke ba.ad
to ye ki saarā jahāñ ek gard-bād meñ hai
agar nazar ho to paḌh lo payām-e-bedārī
fasīl-e-shahr pe likkhā huā fasād meñ hai
vo baat saarī kitāboñ meñ mil nahīñ saktī
jo inqalāb ke chhoTe se istinād meñ hai
vahī asās-e-mohabbat bhī hai aqīdat bhī
vo e'timād kā pahlū jo e'tiqād meñ hai
vahī to fan meñ rivāyat kī ruuh hai 'āzar'
vo ek chhoTā sā nukta jo ijtihād meñ hai
wahi talluq-e-KHatir jo barq-o-baad mein hai
dil-e-sitam-zada ki hasrat-o-murad mein hai
har ek ahd ki hoti hai ek KHususiyyat
hamare daur mein yaksaniyat tazad mein hai
kisi natije pe pahunche hain ghaur-o-fikr ke baad
to ye ki sara jahan ek gard-baad mein hai
agar nazar ho to paDh lo payam-e-bedari
fasil-e-shahr pe likkha hua fasad mein hai
wo baat sari kitabon mein mil nahin sakti
jo inqalab ke chhoTe se istinad mein hai
wahi asas-e-mohabbat bhi hai aqidat bhi
wo e'timad ka pahlu jo e'tiqad mein hai
wahi to fan mein riwayat ki ruh hai 'azar'
wo ek chhoTa sa nukta jo ijtihad mein hai
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 50)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.