wahi tawil si rahen safar wahi tanha
vahī tavīl sī rāheñ safar vahī tanhā
baḌā hujūm hai phir bhī hai zindagī tanhā
tire baġhair ujāle bhī tīra-sāmāñ haiñ
bhaTak rahī hai nigāhoñ kī raushnī tanhā
jahāñ jahāñ bhī ga.ī ġham ke ās-pās rahī
kisī maqām pe dekhī nahīñ ḳhushī tanhā
shu.ūr-e-dīd kā anjām dekhiye kyā ho
hujūm-e-vahm-o-gumāñ aur āgahī tanhā
ḳhud apne shahr meñ bhī ab to ham kuchh aise haiñ
dayār-e-ġhair meñ jaise ik ajnabī tanhā
kisī ne saath nibāhā bhī to bichhaḌne ko
rahī hai apne parāyoñ meñ zindagī tanhā
ḳhud apne-āp se begānagī kā aalam hai
sharīk-e-bazm-e-nigārāñ bhī haiñ 'rishī' tanhā
wahi tawil si rahen safar wahi tanha
baDa hujum hai phir bhi hai zindagi tanha
tere baghair ujale bhi tira-saman hain
bhaTak rahi hai nigahon ki raushni tanha
jahan jahan bhi gai gham ke aas-pas rahi
kisi maqam pe dekhi nahin KHushi tanha
shuur-e-did ka anjam dekhiye kya ho
hujum-e-wahm-o-guman aur aagahi tanha
KHud apne shahr mein bhi ab to hum kuchh aise hain
dayar-e-ghair mein jaise ek ajnabi tanha
kisi ne sath nibaha bhi to bichhaDne ko
rahi hai apne parayon mein zindagi tanha
KHud apne-ap se beganagi ka aalam hai
sharik-e-bazm-e-nigaran bhi hain 'rishi' tanha
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 241)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.