wahi the jo apni justuju mein khare nahin the
vahī the jo apnī justujū meñ khare nahīñ the
vagarna ham un kī dastaras se pare nahīñ the
tabhī vo samjhe ki ham khilaune nahīñ haiñ jab ham
vahāñ se un ko mile jahāñ par dhare nahīñ the
daraḳht phir se harā phaloñ se bharā huā hai
magar vo patte bahār meñ jo hare nahīñ the
us ek lamhe kā rañg umroñ pe chhā gayā hai
vo ek lamha ki rañg jis meñ bhare nahīñ the
ajab sā ik ḳhvāb dekh kar aañkh khul ga.ī hai
ham apne marne pe ro.e lekin mare nahīñ the
ḳhud apne hone ke ḳhauf meñ ab jo mubtalā haiñ
ḳhudā ke hone se bhī vo pahle Dare nahīñ the
ye kaisī kaayā palaT hai shah maat de rahe haiñ
vo jin se shatranj ke piyāde mare nahīñ the
hameñ zamāne ne kīmiyā-gar banā diyā hai
janam se ham log yuuñ nahīñ the are nahīñ the
wahi the jo apni justuju mein khare nahin the
wagarna hum un ki dastaras se pare nahin the
tabhi wo samjhe ki hum khilaune nahin hain jab hum
wahan se un ko mile jahan par dhare nahin the
daraKHt phir se hara phalon se bhara hua hai
magar wo patte bahaar mein jo hare nahin the
us ek lamhe ka rang umron pe chha gaya hai
wo ek lamha ki rang jis mein bhare nahin the
ajab sa ek KHwab dekh kar aankh khul gai hai
hum apne marne pe roe lekin mare nahin the
KHud apne hone ke KHauf mein ab jo mubtala hain
KHuda ke hone se bhi wo pahle Dare nahin the
ye kaisi kaya palaT hai shah mat de rahe hain
wo jin se shatranj ke piyaade mare nahin the
hamein zamane ne kimiya-gar bana diya hai
janam se hum log yun nahin the are nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.