wahi to hai uske Dar ki qimat
vahī to hai us ke Dar kī qīmat
lagī huī hai jo sar kī qīmat
hai dhuup kāñTe sarāb patthar
koī na pūchhe safar kī qīmat
na zar na sonā na hiirā motī
bahut baḌī hai nazar kī qīmat
abhī abhī jis ko tum ne phūñkā
vahī batā.egā ghar kī qīmat
jahāñ meñ jis ne na qadr jaanī
vo ḳhaak samjhe hunar kī qīmat
wahi to hai us ke Dar ki qimat
lagi hui hai jo sar ki qimat
hai dhup kanTe sarab patthar
koi na puchhe safar ki qimat
na zar na sona na hira moti
bahut baDi hai nazar ki qimat
abhi abhi jis ko tum ne phunka
wahi bataega ghar ki qimat
jahan mein jis ne na qadr jaani
wo KHak samjhe hunar ki qimat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.