wahi to humse begane bahut hain
vahī to ham se begāne bahut haiñ
jo apne jāne-pahchāne bahut haiñ
na ye ābād hoñge zindagī bhar
jo dil meñ ārzū-ḳhāne bahut haiñ
kisī se kab vafā kartī hai duniyā
magar duniyā ke dīvāne bahut haiñ
koī kab dekhtā hai apnā chehrā
agarche ā.ina-ḳhāne bahut haiñ
junūñ ke rāste suune paḌe haiñ
garebāñ chaak dīvāne bahut haiñ
abhī se tum 'sadā' ghabrā rahe ho
abhī to hādse aane bahut haiñ
wahi to hum se begane bahut hain
jo apne jaane-pahchane bahut hain
na ye aabaad honge zindagi bhar
jo dil mein aarzu-KHane bahut hain
kisi se kab wafa karti hai duniya
magar duniya ke diwane bahut hain
koi kab dekhta hai apna chehra
agarche aaina-KHane bahut hain
junun ke raste sune paDe hain
gareban chaak diwane bahut hain
abhi se tum 'sada' ghabra rahe ho
abhi to hadse aane bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.