wahi zaKHm tha jo sila nahin teri aahaTon se gila nahin
wahi zaKHm tha jo sila nahin teri aahaTon se gila nahin
Syed Saddam Gilani Murad
MORE BYSyed Saddam Gilani Murad
vahī zaḳhm thā jo silā nahīñ tirī āhaToñ se gilā nahīñ
mire ham-safar tirī ḳhair ho tū jo chaah kar bhī milā nahīñ
mire bāġh-e-dil kī zamīn ko mire ashk sīñchte rah ga.e
tirī hasratoñ kā junūn thā vo jo phuul mujh se khilā nahīñ
kabhī dekh to kyā sabab huā tire dard meñ jo ġhazab huā
mujhe tū vafā kā tilak lagā maiñ vo sang huuñ jo hilā nahiñ
mire haath meñ jo ye jaam hai tirī be-ruḳhī kā in.aam hai
mire tājvar zarā thaam le mujhe aur dard pilā nahīñ
wahi zaKHm tha jo sila nahin teri aahaTon se gila nahin
mere ham-safar teri KHair ho tu jo chah kar bhi mila nahin
mere bagh-e-dil ki zamin ko mere ashk sinchte rah gae
teri hasraton ka junun tha wo jo phul mujh se khila nahin
kabhi dekh to kya sabab hua tere dard mein jo ghazab hua
mujhe tu wafa ka tilak laga main wo sang hun jo hila nahin
mere hath mein jo ye jam hai teri be-ruKHi ka inam hai
mere tajwar zara tham le mujhe aur dard pila nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.