wahi zamana wahi mah-o-sal oDhe hain
wahi zamana wahi mah-o-sal oDhe hain
Kaleem Qaisar Balrampuri
MORE BYKaleem Qaisar Balrampuri
vahī zamāna vahī māh-o-sāl oḌhe haiñ
bahut dinoñ se tumhārā ḳhayāl oḌhe haiñ
shuā-e-mahr ne mujh se kahā ba-vaqt-e-shām
uruuj vaale yahāñ sab zavāl oḌhe haiñ
adab se baiThiye aa kar ke ham faqīroñ meñ
yahāñ ke TāT-nashīñ sab kamāl oḌhe haiñ
sajā.e baiThe haiñ vo tohmateñ zabānoñ par
aur ek ham haiñ ki ab tak misāl oḌhe haiñ
ḳhudā bachā.e unheñ january kī ThanDak se
jo shīt-lahrī ġharīboñ ke laal oḌhe haiñ
unheñ maiñ qaum kā qaa.id to kah nahīñ saktā
vo bheḌiye haiñ jo bheḌoñ kī khaal oḌhe haiñ
hamāre naam na maazī na koī mustaqbil
ham apnī hālat-e-ḳhasta pe haal oḌhe haiñ
phaTī qamīz dikhā.ī na de kahīñ 'qaisar'
isī liye to ye rangīn shaal oḌhe haiñ
wahi zamana wahi mah-o-sal oDhe hain
bahut dinon se tumhaara KHayal oDhe hain
shua-e-mahr ne mujh se kaha ba-waqt-e-sham
uruj wale yahan sab zawal oDhe hain
adab se baiThiye aa kar ke hum faqiron mein
yahan ke TaT-nashin sab kamal oDhe hain
sajae baiThe hain wo tohmaten zabanon par
aur ek hum hain ki ab tak misal oDhe hain
KHuda bachae unhen january ki ThanDak se
jo shit-lahri gharibon ke lal oDhe hain
unhen main qaum ka qaid to kah nahin sakta
wo bheDiye hain jo bheDon ki khaal oDhe hain
hamare nam na mazi na koi mustaqbil
hum apni haalat-e-KHasta pe haal oDhe hain
phaTi qamiz dikhai na de kahin 'qaisar'
isi liye to ye rangin shaal oDhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.