wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka
vahīñ se jab ki ishāra ho ḳhud-numā.ī kā
ajab ki banda na dā'vā kare ḳhudā.ī kā
mile jo rutba tire dar kī jab.ha-sā.ī kā
to ek silsila ho shāhī-o-gadā.ī kā
nahīñ hai faiz meñ ḳhissat va-lek paidā hai
tafāvut ā.ina-o-sañg meñ safā.ī kā
yahāñ jo 'ishq hai betāb-e-jalva-e-dīdār
vahāñ bhī husn muharrik hai ḳhud-numā.ī kā
butoñ ke sāmne but-gar ghise jabīn-e-niyāz
maiñ shefta huuñ tirī shān-e-kibriyā.ī kā
na kar kisī kī burā.ī na ban bhale se burā
bhalā bhalā hai burā kaam hai burā.ī kā
banā.eñ bigḌī huī ko to ek baat bhī hai
bigāḌnā nahīñ mushkil banī-banā.ī kā
uThā hijāb to bas dīn-o-dil diye hī banī
janāb-e-shaiḳh ko dā'vā thā pārsā.ī kā
tumhāre dil se kudūrat miTā.e to jāneñ
khulā hai shahr meñ ik mahkama safā.ī kā
havas hai gar sar-o-sāmāñ ke jam.a karne kī
talāsh kar sar-o-sāmān be-navā.ī kā
sivā.e 'ishq nahīñ koī rahbar-e-chālāk
vahāñ ḳhirad ko nahīñ hausla rasā.ī kā
usī kā vasf hai maqsūd she'r-ḳhvānī se
usī kā zikr hai manshā ġhazal-sarā.ī kā
nahīñ hai ab ke zamāne kī ye ravish zinhār
maiñ yādgār huuñ 'ḳhāqānī'-o-'sanā.ī' kā
wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka
ajab ki banda na da'wa kare KHudai ka
mile jo rutba tere dar ki jabha-sai ka
to ek silsila ho shahi-o-gadai ka
nahin hai faiz mein KHissat wa-lek paida hai
tafawut aaina-o-sang mein safai ka
yahan jo 'ishq hai betab-e-jalwa-e-didar
wahan bhi husn muharrik hai KHud-numai ka
buton ke samne but-gar ghise jabin-e-niyaz
main shefta hun teri shan-e-kibriyai ka
na kar kisi ki burai na ban bhale se bura
bhala bhala hai bura kaam hai burai ka
banaen bigDi hui ko to ek baat bhi hai
bigaDna nahin mushkil bani-banai ka
uTha hijab to bas din-o-dil diye hi bani
janab-e-shaiKH ko da'wa tha parsai ka
tumhaare dil se kudurat miTae to jaanen
khula hai shahr mein ek mahkama safai ka
hawas hai gar sar-o-saman ke jama karne ki
talash kar sar-o-saman be-nawai ka
siwae 'ishq nahin koi rahbar-e-chaalak
wahan KHirad ko nahin hausla rasai ka
usi ka wasf hai maqsud she'r-KHwani se
usi ka zikr hai mansha ghazal-sarai ka
nahin hai ab ke zamane ki ye rawish zinhaar
main yaadgar hun 'KHaqani'-o-'sanai' ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.