wahin tark-e-safar kar lena langar chhoD dena
vahīñ tark-e-safar kar lenā lañgar chhoḌ denā
utarne jab lage tūfāñ samundar chhoḌ denā
vo merā honā sābit gauhar-e-nāyāb āḳhir
vo us kā sang-e-be-māya samajh kar chhoḌ denā
koī autār to hargiz nahīñ ham phir bhī jal par
hamāre naam kā tum ek patthar chhoḌ denā
mire par naap ā.eñge makān-o-lā-makāñ sab
khule ākāsh meñ mujh ko ghaḌī bhar chhoḌ denā
ba-sad-zauq-o-tajassus us parī-paikar kā ik raat
kisī aḳhbār sā vo mujh ko paḌh kar chhoḌ denā
wahin tark-e-safar kar lena langar chhoD dena
utarne jab lage tufan samundar chhoD dena
wo mera hona sabit gauhar-e-nayab aaKHir
wo us ka sang-e-be-maya samajh kar chhoD dena
koi autar to hargiz nahin hum phir bhi jal par
hamare nam ka tum ek patthar chhoD dena
mere par nap aaenge makan-o-la-makan sab
khule aakash mein mujh ko ghaDi bhar chhoD dena
ba-sad-zauq-o-tajassus us pari-paikar ka ek raat
kisi aKHbar sa wo mujh ko paDh kar chhoD dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.