wahm hai ya ek guman hai zindagi
vahm hai yā ik gumāñ hai zindagī
kun kā bas ik ik bayāñ hai zindagī
zindagī kī shaam se pahle talak
mauj hai bahtī ravāñ hai zindagī
soz hai jis meñ na koī saaz hai
rā.egāñ hī rā.egāñ hai zindagī
Dūbte sūraj se jā ke pūchh lo
āsmāñ pe ik dhuāñ hai zindagī
kā.enātī zindagī tafsīr hai
zindagī kī tarjumāñ hai zindagī
saañs lete pattharoñ ke darmiyāñ
chaak pe bantā nishāñ hai zindagī
dekhnī hai zindagī to dekhiye
do diloñ ke darmiyāñ hai zindagī
wahm hai ya ek guman hai zindagi
kun ka bas ek ek bayan hai zindagi
zindagi ki sham se pahle talak
mauj hai bahti rawan hai zindagi
soz hai jis mein na koi saz hai
raegan hi raegan hai zindagi
Dubte suraj se ja ke puchh lo
aasman pe ek dhuan hai zindagi
kaenati zindagi tafsir hai
zindagi ki tarjuman hai zindagi
sans lete pattharon ke darmiyan
chaak pe banta nishan hai zindagi
dekhni hai zindagi to dekhiye
do dilon ke darmiyan hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.