wahm ki intiha hai kya yani
vahm kī intihā hai kyā yā'nī
masnad-e-zehn pe ḳhudā yā'nī
sar-ba-sar bhūlne kī koshish meñ
maiñ use sochtā rahā yā'nī
maiñ huuñ maujūd bārhā tujh meñ
huuñ magar ḳhud meñ lāpata yā'nī
dil dukhānā tujhī se sīkhā hai
zahr hai zahr kī davā yā'nī
kitnā dushvār hai jiye jaanā
ḳhuld meñ bhī sazā hai kyā yā'nī
wahm ki intiha hai kya ya'ni
masnad-e-zehn pe KHuda ya'ni
sar-ba-sar bhulne ki koshish mein
main use sochta raha ya'ni
main hun maujud barha tujh mein
hun magar KHud mein lapata ya'ni
dil dukhana tujhi se sikha hai
zahr hai zahr ki dawa ya'ni
kitna dushwar hai jiye jaana
KHuld mein bhi saza hai kya ya'ni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.