wahm ki parchhaiyon se dil ko bahlate nahin
vahm kī parchhā.iyoñ se dil ko bahlāte nahīñ
ahl-e-dānish is fareb-e-shauq meñ aate nahīñ
muztarib rakhtī hai har lamha safar kī aarzū
ham vo raahī haiñ jo manzil par sukūñ paate nahīñ
ābgīnoñ kī tarah un kī hifāzat farz hai
TuuT jaate haiñ jo rishte phir numū paate nahīñ
chhoḌ kar ik tere dar ko dar-ba-dar jaa.eñ to kyuuñ
har kisī ke sāmne ham haath phailāte nahīñ
hausla dekhā hamārā zindagī ke shīshagar
gar na hotā azm to patthar se Takrāte nahīñ
gardish-e-daurāñ na le ham be-kasoñ kā imtihāñ
ahl-e-dil ālām kī yūrish se ghabrāte nahīñ
ai 'shabānā' ḳhār-zār-e-zindagī hai aur ham
chal paḌe jab paañv ke chhāloñ se ghabrāte nahīñ
wahm ki parchhaiyon se dil ko bahlate nahin
ahl-e-danish is fareb-e-shauq mein aate nahin
muztarib rakhti hai har lamha safar ki aarzu
hum wo rahi hain jo manzil par sukun pate nahin
aabginon ki tarah un ki hifazat farz hai
TuT jate hain jo rishte phir numu pate nahin
chhoD kar ek tere dar ko dar-ba-dar jaen to kyun
har kisi ke samne hum hath phailate nahin
hausla dekha hamara zindagi ke shishagar
gar na hota azm to patthar se Takraate nahin
gardish-e-dauran na le hum be-kason ka imtihan
ahl-e-dil aalam ki yurish se ghabraate nahin
ai 'shabana' KHar-zar-e-zindagi hai aur hum
chal paDe jab panw ke chhaalon se ghabraate nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.