wahm-o-guman jo had se guzarte chale gae
vahm-o-gumāñ jo had se guzarte chale ga.e
ham reza reza ho ke bikharte chale ga.e
jalva tumhārā ek nazar dekhne ke ba.ad
dil meñ nuqūsh-e-ishq nikharte chale ga.e
e.ajāz kam nahīñ thā kuchh un ke jamāl kā
ham diid kī talab meñ sañvarte chale ga.e
diiñ manziloñ ne un ko sadā.eñ bahut magar
dīvāne apnī dhun meñ guzarte chale ga.e
shāyad mirī vafāoñ meñ hī thī koī kamī
va.ade se apne vo to mukarte chale ga.e
aise parind jin kī uḌāneñ buland thiiñ
un ke paroñ ko log katarte chale ga.e
'ārif' rah-e-hayāt meñ nekī ke naam par
jo kaam ham ko karne the karte chale ga.e
wahm-o-guman jo had se guzarte chale gae
hum reza reza ho ke bikharte chale gae
jalwa tumhaara ek nazar dekhne ke baad
dil mein nuqush-e-ishq nikharte chale gae
eajaz kam nahin tha kuchh un ke jamal ka
hum did ki talab mein sanwarte chale gae
din manzilon ne un ko sadaen bahut magar
diwane apni dhun mein guzarte chale gae
shayad meri wafaon mein hi thi koi kami
wade se apne wo to mukarte chale gae
aise parind jin ki uDanen buland thin
un ke paron ko log katarte chale gae
'arif' rah-e-hayat mein neki ke nam par
jo kaam hum ko karne the karte chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.