wahm-o-guman ne aas bandhai tamam raat
vahm-o-gumāñ ne aas bañdhā.ī tamām raat
aahaT ḳhirām-e-nāz kī aa.ī tamām raat
majbūr ho ke maiñ ne mohabbat kī chhāñv meñ
tāroñ ko dil kī baat sunā.ī tamām raat
masrūr ho ke chāñd ne ik chāñd ke liye
kyā chāñdnī zamīñ pe bichā.ī tamām raat
khā kar taras gudāzī-e-soz-e-firāq par
ashkoñ ne dil kī aag bujhā.ī tamām raat
yaad aap kī hai aap se baḌh kar karam-navāz
aap ik ghaḌī ko aa.e vo aa.ī tamām raat
tasvīr un kī sāmne rakh kar ba-sad-alam
rūdād-e-iztirāb sunā.ī tamām raat
dar par nigāh dil meñ taḌap ruuh muztarib
taklīf-e-intizār uThā.ī tamām raat
chashm-e-'jalī' ne hasrat-e-jalva liye hue
ashkoñ se bazm-e-ishq sajā.ī tamām raat
wahm-o-guman ne aas bandhai tamam raat
aahaT KHiram-e-naz ki aai tamam raat
majbur ho ke main ne mohabbat ki chhanw mein
taron ko dil ki baat sunai tamam raat
masrur ho ke chand ne ek chand ke liye
kya chandni zamin pe bichai tamam raat
kha kar taras gudazi-e-soz-e-firaq par
ashkon ne dil ki aag bujhai tamam raat
yaad aap ki hai aap se baDh kar karam-nawaz
aap ek ghaDi ko aae wo aai tamam raat
taswir un ki samne rakh kar ba-sad-alam
rudad-e-iztirab sunai tamam raat
dar par nigah dil mein taDap ruh muztarib
taklif-e-intizar uThai tamam raat
chashm-e-'jali' ne hasrat-e-jalwa liye hue
ashkon se bazm-e-ishq sajai tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.