wahm sabit hue sab KHwab suhane tere
vahm sābit hue sab ḳhvāb suhāne tere
yaad karte haiñ magar log fasāne tere
kaash vo din na kabhī aa.e ki tū aa jaa.e
raas aate haiñ mire jī ko bahāne tere
aisī uftād paḌī apnī ḳhabar bhī na rahī
ham to aa.e the yahāñ rañg jamāne tere
kal chhupā rakhte the ḳhud se bhī mohabbat apnī
aaj aa.e haiñ tujhe daaġh dikhāne tere
ḳhalq kā dhyān haTāte rahe kāñTe kyā kyā
raaz ifshā kiye sab bād-e-sabā ne tere
dard kyā kyā na mile shauq-e-talab se apne
zaḳhm kyā kyā na diye zauq-e-hayā ne tere
juz tire chāhne vaalā thā na un kā koī
lauT kar aa.e na 'shohrat' vo zamāne tere
wahm sabit hue sab KHwab suhane tere
yaad karte hain magar log fasane tere
kash wo din na kabhi aae ki tu aa jae
ras aate hain mere ji ko bahane tere
aisi uftad paDi apni KHabar bhi na rahi
hum to aae the yahan rang jamane tere
kal chhupa rakhte the KHud se bhi mohabbat apni
aaj aae hain tujhe dagh dikhane tere
KHalq ka dhyan haTate rahe kanTe kya kya
raaz ifsha kiye sab baad-e-saba ne tere
dard kya kya na mile shauq-e-talab se apne
zaKHm kya kya na diye zauq-e-haya ne tere
juz tere chahne wala tha na un ka koi
lauT kar aae na 'shohrat' wo zamane tere
- Book : shab-e-aaina (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.