wahm se ya guman se uThti hai
vahm se yā gumāñ se uThtī hai
yā kahīñ darmiyāñ se uThtī hai
vo tamanna ki jis pe jiite haiñ
kyā batā.eñ kahāñ se uThtī hai
ġham-kada hai ye 'mīr' sāhab kā
ek tābānī yaañ se uThtī hai
kyā samāvāt meñ talātum hai
kyā fuġhāñ jism-o-jāñ se uThtī hai
mauj jab tah-nashīn hotī hai
lahr āb-e-ravāñ se uThtī hai
lā-makānī makāñ se behtar hai
ye zamīn-o-zamāñ se uThtī hai
dīda-bāzī bhī ishq-bāzī hai
dil kī ye baat jaañ se uThtī hai
jab uThā.e na uTh sake ye zamīñ
phir zamīñ āsmāñ se uThtī hai
ab to kunj-e-butāñ se ruḳhsat hai
āshiqī āstāñ se uThtī hai
wahm se ya guman se uThti hai
ya kahin darmiyan se uThti hai
wo tamanna ki jis pe jite hain
kya bataen kahan se uThti hai
gham-kada hai ye 'mir' sahab ka
ek tabani yan se uThti hai
kya samawat mein talatum hai
kya fughan jism-o-jaan se uThti hai
mauj jab tah-nashin hoti hai
lahr aab-e-rawan se uThti hai
la-makani makan se behtar hai
ye zamin-o-zaman se uThti hai
dida-bazi bhi ishq-bazi hai
dil ki ye baat jaan se uThti hai
jab uThae na uTh sake ye zamin
phir zamin aasman se uThti hai
ab to kunj-e-butan se ruKHsat hai
aashiqi aastan se uThti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.