wahm tha ya guman jaisa tha
vahm thā yā gumān jaisā thā
dil ke vo mehmān jaisā thā
tiir kājal ke us kī āñkhoñ meñ
aur abrū kamān jaisā thā
phuul se tan pe us ke raushan ḳhat
manziloñ ke nishān jaisā thā
umr bhar kaun yaañ Thahartā hai
maiñ to ik sā.ebān jaisā thā
jaan lo bas ki ulfatoñ kā safar
ik ḳhayālī uḌaan jaisā thā
ab yahāñ vasvasoñ ke Dere haiñ
dil ki pahle makān jaisā thā
ye maiñ kyoñ aaj be-ridā huuñ bahut
mujh pe kuchh āsmān jaisā thā
wahm tha ya guman jaisa tha
dil ke wo mehman jaisa tha
tir kajal ke us ki aankhon mein
aur abru kaman jaisa tha
phul se tan pe us ke raushan KHat
manzilon ke nishan jaisa tha
umr bhar kaun yan Thaharta hai
main to ek saeban jaisa tha
jaan lo bas ki ulfaton ka safar
ek KHayali uDan jaisa tha
ab yahan waswason ke Dere hain
dil ki pahle makan jaisa tha
ye main kyon aaj be-rida hun bahut
mujh pe kuchh aasman jaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.