wahshat-e-asar-o-sukun soz nazaron ke siwa
vahshat-e-āsār-o-sukūñ soz nazāroñ ke sivā
aur sab kuchh hai gulistāñ meñ bahāroñ ke sivā
ab na be-bāk-nigāhī hai na gustāḳh-labī
chand sahme hue mub.ham se ishāroñ ke sivā
sāqiyā koī nahīñ mujrim-e-mai-ḳhāna yahāñ
tere kam-zarf-o-nazar bāda-gusāroñ ke sivā
hasrateñ un meñ abhī dafn haiñ insānoñ kī
naam kyā dījiye sīnoñ ko mazāroñ ke sivā
duur tak koī nahīñ hai shajar-e-sāya-dār
chand sūkhe hue peḌoñ kī qatāroñ ke sivā
aap kahte haiñ ki gulshan meñ hai arzānī-e-gul
apne dāman meñ to kuchh bhī nahīñ ḳhāroñ ke sivā
manzil-e-shauq meñ ik ik ko diyā izn-e-safar
koī bhī to na milā jāda-shumāroñ ke sivā
zor-e-tūfāñ to ba-har-hāl hai zor-e-tūfāñ
kis se Takrā.egī mauj apnī kināroñ ke sivā
kaun is daur ke insāñ kā muqaddar bantā
chand āvāra-o-manhūs sitāroñ ke sivā
kitne qadmoñ kī ḳharāshoñ se lahū ristā hai
kis ko ma.alūm hai ye rāh-guzāroñ ke sivā
baat karte haiñ vo ab aisī zabāñ meñ 'ejāz'
koī samjhe na jise nāma-nigāroñ ke sivā
wahshat-e-asar-o-sukun soz nazaron ke siwa
aur sab kuchh hai gulistan mein bahaaron ke siwa
ab na be-bak-nigahi hai na gustaKH-labi
chand sahme hue mubham se ishaaron ke siwa
saqiya koi nahin mujrim-e-mai-KHana yahan
tere kam-zarf-o-nazar baada-gusaron ke siwa
hasraten un mein abhi dafn hain insanon ki
nam kya dijiye sinon ko mazaron ke siwa
dur tak koi nahin hai shajar-e-saya-dar
chand sukhe hue peDon ki qataron ke siwa
aap kahte hain ki gulshan mein hai arzani-e-gul
apne daman mein to kuchh bhi nahin KHaron ke siwa
manzil-e-shauq mein ek ek ko diya izn-e-safar
koi bhi to na mila jada-shumaron ke siwa
zor-e-tufan to ba-har-haal hai zor-e-tufan
kis se Takraegi mauj apni kinaron ke siwa
kaun is daur ke insan ka muqaddar banta
chand aawara-o-manhus sitaron ke siwa
kitne qadmon ki KHarashon se lahu rista hai
kis ko malum hai ye rah-guzaron ke siwa
baat karte hain wo ab aisi zaban mein 'ejaz'
koi samjhe na jise nama-nigaron ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.