wahshat-e-dil ke ishaaron pe chale hain barson
wahshat-e-dil ke ishaaron pe chale hain barson
Mohsin Ummeedi Burhanpuri
MORE BYMohsin Ummeedi Burhanpuri
vahshat-e-dil ke ishāroñ pe chale haiñ barsoñ
yuuñ bhī ham aql kī āñkhoñ meñ khale haiñ barsoñ
apnī marzī se bhī do-chār qadam chalne de
zindagī ham tire kahne pe chale haiñ barsoñ
ḳhaak par ashk gireñ aur mujhe taklīf na ho
ye mire dil kī panāhoñ meñ pale haiñ barsoñ
lazzat-e-soz-e-mohabbat koī ham se pūchhe
ham tire ġham ke sharāroñ meñ jale haiñ barsoñ
husn tanhā nahīñ haqdār vafā kā 'mohsin'
ishq ne bhī kaf-e-afsos male haiñ barsoñ
wahshat-e-dil ke ishaaron pe chale hain barson
yun bhi hum aql ki aankhon mein khale hain barson
apni marzi se bhi do-chaar qadam chalne de
zindagi hum tere kahne pe chale hain barson
KHak par ashk giren aur mujhe taklif na ho
ye mere dil ki panahon mein pale hain barson
lazzat-e-soz-e-mohabbat koi hum se puchhe
hum tere gham ke shararon mein jale hain barson
husn tanha nahin haqdar wafa ka 'mohsin'
ishq ne bhi kaf-e-afsos male hain barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.