wahshat-e-dil meri kashkol-e-gadai mange
vahshat-e-dil mirī kashkol-e-gadā.ī māñge
jism kī qaid se tadbīr-e-rihā.ī māñge
kitnī hassās adālat hai mire mulk tirī
jo ki mazlūm se aahoñ kī safā.ī māñge
ek qatra na pilā.eñ kabhī dīdār kā jo
dil mirā aise hasīnoñ se duhā.ī māñge
kyā maiñ dūñgā use rusvā.ī-o-zillat ke sivā
baap merā kabhī merī jo kamā.ī māñge
abhī bhaTkā nahīñ puurī tarah ahsan 'gulfām'
aur thoḌī sī zarā rāh-numā.ī māñge
wahshat-e-dil meri kashkol-e-gadai mange
jism ki qaid se tadbir-e-rihai mange
kitni hassas adalat hai mere mulk teri
jo ki mazlum se aahon ki safai mange
ek qatra na pilaen kabhi didar ka jo
dil mera aise hasinon se duhai mange
kya main dunga use ruswai-o-zillat ke siwa
bap mera kabhi meri jo kamai mange
abhi bhaTka nahin puri tarah ahsan 'gulfam'
aur thoDi si zara rah-numai mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.