wahshat-e-gham se raat bhar yaro
vahshat-e-ġham se raat bhar yaaro
royā maiñ phir huī sahar yaaro
jaanā chāheñ bhī to kidhar jaa.eñ
kho ga.e saare rahguzar yaaro
zehn-o-dil se nikāl kar us ko
kar diyā ḳhud ko mo'atabar yaaro
umr bhar gard-e-rāh kī sūrat
maiñ jo kartā rahā safar yaaro
aa.ī ḳhāk-e-vatan kī yaad magar
lauT kar phir ga.e na ghar yaaro
hai tamannā na.ī fazā kī magar
kaT ga.e apne bāl-o-par yaaro
chāhe jitnā ḳhayāl rakkho mirā
umr merī hai muḳhtasar yaaro
wahshat-e-gham se raat bhar yaro
roya main phir hui sahar yaro
jaana chahen bhi to kidhar jaen
kho gae sare rahguzar yaro
zehn-o-dil se nikal kar us ko
kar diya KHud ko mo'atabar yaro
umr bhar gard-e-rah ki surat
main jo karta raha safar yaro
aai KHak-e-watan ki yaad magar
lauT kar phir gae na ghar yaro
hai tamanna nai faza ki magar
kaT gae apne baal-o-par yaro
chahe jitna KHayal rakkho mera
umr meri hai muKHtasar yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.