wahshat hai bahut kam to hai zanjir ziyaada
vahshat hai bahut kam to hai zanjīr ziyāda
chhoTā sā mirā ḳhvāb hai tā'bīr ziyāda
kyā jaan merī sirf sulagne ke liye hai
kiije na mire jism kī tafsīr ziyāda
kis moḌ pe dīvān ke maiñ ruk sā gayā huuñ
'ġhālib' se nazar aane lagā 'mīr' ziyāda
kartā huuñ isī vāste tadbīr bahut kam
har kaam meñ kaam aatī hai tā'bīr ziyāda
kab tak ye mirā zo'm ye ehsās rahegā
duniyā meñ bahut ḳhuub hai kashmīr ziyāda
wahshat hai bahut kam to hai zanjir ziyaada
chhoTa sa mera KHwab hai ta'bir ziyaada
kya jaan meri sirf sulagne ke liye hai
kije na mere jism ki tafsir ziyaada
kis moD pe diwan ke main ruk sa gaya hun
'ghaalib' se nazar aane laga 'mir' ziyaada
karta hun isi waste tadbir bahut kam
har kaam mein kaam aati hai ta'bir ziyaada
kab tak ye mera zo'm ye ehsas rahega
duniya mein bahut KHub hai kashmir ziyaada
- Book : Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 106)
- Author : Hamdam Kashmiri
- Publication : Nai Sadi Adabi Society, Varansi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.