wahshat ko meri dekh ki majnun ne kaha bas
vahshat ko mirī dekh ki majnūñ ne kahā bas
majnūñ niiñ to kyā dāman-e-hāmūñ ne kahā bas
har dard niiñ jiyūñ qutb mujhe dekh ke sābit
qurbān mire gird ho gardūñ ne kahā bas
gul-rū kī judā.ī meñ mire dāġh-e-jigar dekh
gulshan meñ har ek lāla-e-pur-ḳhūñ ne kahā bas
hai dām-e-parī bas-ki mirī aah kā jaadū
be-bāk ho us chashm-e-pur-afsūñ ne kahā bas
ahvāl-e-'sirāj' ātish-e-hijrāñ meñ tirī dekh
dil soz ho parvān-e-mahzūñ ne kahā bas
wahshat ko meri dekh ki majnun ne kaha bas
majnun nin to kya daman-e-hamun ne kaha bas
har dard nin jiyun qutb mujhe dekh ke sabit
qurban mere gird ho gardun ne kaha bas
gul-ru ki judai mein mere dagh-e-jigar dekh
gulshan mein har ek lala-e-pur-KHun ne kaha bas
hai dam-e-pari bas-ki meri aah ka jadu
be-bak ho us chashm-e-pur-afsun ne kaha bas
ahwal-e-'siraj' aatish-e-hijran mein teri dekh
dil soz ho parwan-e-mahzun ne kaha bas
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 420)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.