wahshat mein koi kar-e-numayan na kar sake
vahshat meñ koī kār-e-numāyāñ na kar sake
dāman ko jeb jeb ko dāmāñ na kar sake
dard-e-darūñ kā vo bhī to darmāñ na kar sake
dushvārī-e-hayāt ko āsāñ na kar sake
tar ḳhūn-e-dil se nāvak-e-jānāñ na kar sake
ham itnī bhī to ḳhātir-e-mehmāñ na kar sake
kuchh aise jald ḳhatm hue zindagī ke din
ham e.atibār-e-umr-e-gurezāñ na kar sake
dariyā meñ ġharq dekhne vaale bhī ho ga.e
mujh ko magar havāla-e-tūfāñ na kar sake
jalvoñ ko dekhtī rahī merī nigāh-e-shauq
kuchh bhī harīm-e-nāz ke darbāñ na kar sake
rahte hue qafas meñ zamāna guzar ga.e
tark-e-ḳhayāl-e-sair-e-gulistāñ na kar sake
sau hashr intizār meñ ham par guzar ga.e
aur aa.ī ek hashr kā sāmāñ na kar sake
vo saḳht-jān the ki zamāne ke hādsāt
shīrāza-e-hayāt pareshāñ na kar sake
ham aise jā ke be-ḳhud-e-ehsās ho ga.e
andāza-e-kashākash-e-zindāñ na kar sake
badnām kar diyā mujhe 'afqar' zamāne meñ
iḳhfā-e-rāz dīda-e-giryāñ na kar sake
wahshat mein koi kar-e-numayan na kar sake
daman ko jeb jeb ko daman na kar sake
dard-e-darun ka wo bhi to darman na kar sake
dushwari-e-hayat ko aasan na kar sake
tar KHun-e-dil se nawak-e-jaanan na kar sake
hum itni bhi to KHatir-e-mehman na kar sake
kuchh aise jald KHatm hue zindagi ke din
hum eatibar-e-umr-e-gurezan na kar sake
dariya mein gharq dekhne wale bhi ho gae
mujh ko magar hawala-e-tufan na kar sake
jalwon ko dekhti rahi meri nigah-e-shauq
kuchh bhi harim-e-naz ke darban na kar sake
rahte hue qafas mein zamana guzar gae
tark-e-KHayal-e-sair-e-gulistan na kar sake
sau hashr intizar mein hum par guzar gae
aur aai ek hashr ka saman na kar sake
wo saKHt-jaan the ki zamane ke hadsat
shiraaza-e-hayat pareshan na kar sake
hum aise ja ke be-KHud-e-ehsas ho gae
andaza-e-kashakash-e-zindan na kar sake
badnam kar diya mujhe 'afqar' zamane mein
iKHfa-e-raaz dida-e-giryan na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.