wahshat mein nikal aaya hun idrak se aage
vahshat meñ nikal aayā huuñ idrāk se aage
ab DhūñDh mujhe majma-e-ushshāq se aage
ik surḳh samundar meñ tirā zikr bahut hai
ai shaḳhs guzar dīda-e-namnāk se aage
us paar se aatā koī dekhūñ to ye pūchhūñ
aflāk se pīchhe huuñ ki aflāk se aage
dam toḌ na de ab kahīñ ḳhvāhish kī havā bhī
ye ḳhaak to uḌtī nahīñ ḳhāshāk se aage
jo naqsh ubhāre the miTā.e bhī haiñ us ne
darpesh phir ik chaak hai is chaak se aage
ā.īne ko toḌā hai to mālūm huā hai
guzrā huuñ kisī dasht-e-ḳhatarnāk se aage
ham-zād kī sūrat hai mire yaar kī sūrat
maiñ kaise nikal saktā huuñ chālāk se aage
wahshat mein nikal aaya hun idrak se aage
ab DhunDh mujhe majma-e-ushshaq se aage
ek surKH samundar mein tera zikr bahut hai
ai shaKHs guzar dida-e-namnak se aage
us par se aata koi dekhun to ye puchhun
aflak se pichhe hun ki aflak se aage
dam toD na de ab kahin KHwahish ki hawa bhi
ye KHak to uDti nahin KHashak se aage
jo naqsh ubhaare the miTae bhi hain us ne
darpesh phir ek chaak hai is chaak se aage
aaine ko toDa hai to malum hua hai
guzra hun kisi dasht-e-KHatarnak se aage
ham-zad ki surat hai mere yar ki surat
main kaise nikal sakta hun chaalak se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.