wahshat sada-e-dasht hai wahshat qaba-e-dasht
vahshat sadā-e-dasht hai vahshat qabā-e-dasht
mujh par kisī kī yaad ne kyā kyā banā.e dasht
mujh par kisī kā hijr musalsal na kījiyo
yā-rabb-e-zul-jalāl mire ai ḳhudā-e-dasht
majnūñ ko dekh mere duvāre pe aa gayā
kaasa uThā ke kahtā hai vahshat barā-e-dasht
jaise kisī kī saañs ukhaḌtī huī lage
jaise kisī ko raas na aa.e havā-e-dasht
tujh par jo niiñd ḳhvāb kā dohrā 'azāb hai
to kyoñ na tujh pe phūñk duuñ paḌh kar du'ā-e-dasht
wahshat sada-e-dasht hai wahshat qaba-e-dasht
mujh par kisi ki yaad ne kya kya banae dasht
mujh par kisi ka hijr musalsal na kijiyo
ya-rabb-e-zul-jalal mere ai KHuda-e-dasht
majnun ko dekh mere duware pe aa gaya
kasa uTha ke kahta hai wahshat bara-e-dasht
jaise kisi ki sans ukhaDti hui lage
jaise kisi ko ras na aae hawa-e-dasht
tujh par jo nind KHwab ka dohra 'azab hai
to kyon na tujh pe phunk dun paDh kar du'a-e-dasht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.