wahshat se har suKHan mera goya ghazala hai
wahshat se har suKHan mera goya ghazala hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
vahshat se har suḳhan mirā goyā ġhazāla hai
bū se nasha ho ye vo mai-e-der-sālā hai
is aan par nisār karūñ bazm-e-jām-e-jam
vo mast-e-nāz aaj mirā ham-piyāla hai
begāna dekhtā huuñ maiñ har gul kā rañg-o-bū
ham-dāġh is chaman meñ agar hai to laala hai
aa.e ho ab to duḳhtar-e-raz dekhte ho kyā
mashrab meñ mai-kasho ye tumhārī halāla hai
tanhā nahīñ chalā huuñ maiñ 'hātim' butāñ ke shahr
ham-rāh is safar meñ mirā āh-o-nāla hai
wahshat se har suKHan mera goya ghazala hai
bu se nasha ho ye wo mai-e-der-sala hai
is aan par nisar karun bazm-e-jam-e-jam
wo mast-e-naz aaj mera ham-piyala hai
begana dekhta hun main har gul ka rang-o-bu
ham-dagh is chaman mein agar hai to lala hai
aae ho ab to duKHtar-e-raz dekhte ho kya
mashrab mein mai-kasho ye tumhaari halala hai
tanha nahin chala hun main 'hatim' butan ke shahr
ham-rah is safar mein mera aah-o-nala hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 291)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.