wahshat si wahshat hoti hai
vahshat sī vahshat hotī hai
zinda huuñ hairat hotī hai
jal bujhne vāloñ se pūchho
ġham kī kyā hiddat hotī hai
rehn na rakh denā bīnā.ī
is kī bhī muddat hotī hai
saare qarz chukā dene kī
kabhī kabhī ujlat hotī hai
dil aur jaan ke saude jo haiñ
in meñ kab hujjat hotī hai
ḳhud se jhuuT kahāñ tak boleñ
thoḌī sī ḳhiffat hotī hai
apne aap se milne meñ bhī
ab kitnī diqqat hotī hai
ḳhud se bāteñ karne kī bhī
ab kis ko fursat hotī hai
kuchh kah lo rūkhī-sūkhī meñ
apne haañ barakat hotī hai
sonā sī miTTī ke ghar meñ
kab ham se mehnat hotī hai
dhaan hamāre chiḌiyā khā.eñ
chiḌiyoñ ko aadat hotī hotī hai
bachchoñ se kyā shikva karnā
miTTī meñ ulfat hotī hai
sabz kivāḌoñ kī jhurriyoñ meñ
jugnū yā hairat hotī hai
TaaT ke maT-maile pardoñ meñ
kyā ujlī rañgat hotī hai
phaTī purānī sī chunarī meñ
kyā bholī sūrat hotī hai
chāval kī piilī roTī meñ
kyā soñdhī lazzat hotī hai
rullī ke ek ik Tāñke meñ
poroñ kī chāhat hotī hai
jaaḌe oḌh ke so jaane meñ
kab koī zahmat hotī hai
shaam ko terā hañs kar milnā
din bhar kī ujrat hotī hai
wahshat si wahshat hoti hai
zinda hun hairat hoti hai
jal bujhne walon se puchho
gham ki kya hiddat hoti hai
rehn na rakh dena binai
is ki bhi muddat hoti hai
sare qarz chuka dene ki
kabhi kabhi ujlat hoti hai
dil aur jaan ke saude jo hain
in mein kab hujjat hoti hai
KHud se jhuT kahan tak bolen
thoDi si KHiffat hoti hai
apne aap se milne mein bhi
ab kitni diqqat hoti hai
KHud se baaten karne ki bhi
ab kis ko fursat hoti hai
kuchh kah lo rukhi-sukhi mein
apne han barakat hoti hai
sona si miTTi ke ghar mein
kab hum se mehnat hoti hai
dhan hamare chiDiya khaen
chiDiyon ko aadat hoti hoti hai
bachchon se kya shikwa karna
miTTi mein ulfat hoti hai
sabz kiwaDon ki jhurriyon mein
jugnu ya hairat hoti hai
TaT ke maT-maile pardon mein
kya ujli rangat hoti hai
phaTi purani si chunari mein
kya bholi surat hoti hai
chawal ki pili roTi mein
kya sondhi lazzat hoti hai
rulli ke ek ek Tanke mein
poron ki chahat hoti hai
jaDe oDh ke so jaane mein
kab koi zahmat hoti hai
sham ko tera hans kar milna
din bhar ki ujrat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.