wahshat-zadon ki kitni dilchasp hain adaen
vahshat-zadoñ kī kitnī dilchasp haiñ adā.eñ
kuchh der ḳhuun ro.eñ kuchh der muskurā.eñ
hairān haiñ kidhar ham bahr-e-talāsh jaa.eñ
aatī haiñ har taraf se un kī hī ab sadā.eñ
gūñjī huiiñ haiñ mere nāloñ se ye fazā.eñ
yā kaalī kaalī rāteñ kartī haiñ saa.eñ saa.eñ
us vaqt ḳhaas rahrav himmat na haar jaa.eñ
manzil qarīb samjheñ jab paañv Dagmagā.eñ
ye dekhnā hai mujh par kyā bijliyāñ girā.eñ
badlī to haiñ havā.eñ uTThī to haiñ ghaTā.eñ
uf sharmgīñ nigāheñ bārbād-kun adā.eñ
ye nīmche kisī ke dil meñ na Duub jaa.eñ
ab hichkiyāñ banī haiñ ruḳh naza.a meñ badal kar
māyūs ārzūeñ nākām iltijā.eñ
dil kī tabāhiyoñ par masrūr hone vaale
dil hī na ho to tere jalve kahāñ samā.eñ
pahle hī sochte tum aahoñ kā ab gila kyā
jo bañdh ga.iiñ havā.eñ vo bañdh ga.iiñ havā.eñ
maiñ lafz-e-dost sun kar Dartā huuñ dil hī dil meñ
vo mujh se 'abr' kī haiñ ahbāb ne daġhā.eñ
wahshat-zadon ki kitni dilchasp hain adaen
kuchh der KHun roen kuchh der muskuraen
hairan hain kidhar hum bahr-e-talash jaen
aati hain har taraf se un ki hi ab sadaen
gunji huin hain mere nalon se ye fazaen
ya kali kali raaten karti hain saen saen
us waqt KHas rahraw himmat na haar jaen
manzil qarib samjhen jab panw Dagmagaen
ye dekhna hai mujh par kya bijliyan giraen
badli to hain hawaen uTThi to hain ghaTaen
uf sharmgin nigahen barbaad-kun adaen
ye nimche kisi ke dil mein na Dub jaen
ab hichkiyan bani hain ruKH naza mein badal kar
mayus aarzuen nakaam iltijaen
dil ki tabahiyon par masrur hone wale
dil hi na ho to tere jalwe kahan samaen
pahle hi sochte tum aahon ka ab gila kya
jo bandh gain hawaen wo bandh gain hawaen
main lafz-e-dost sun kar Darta hun dil hi dil mein
wo mujh se 'abr' ki hain ahbab ne daghaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.