Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahshaten phaili hain har su do-jahan KHamosh hai

Haidar raza Koralvi

wahshaten phaili hain har su do-jahan KHamosh hai

Haidar raza Koralvi

MORE BYHaidar raza Koralvi

    vahshateñ phailī haiñ har do-jahāñ ḳhāmosh hai

    hai zamīñ girya-kunāñ aur āsmāñ ḳhāmosh hai

    beTiyoñ ke maan honā chāhiye apmān hai

    dekh kar sab kuchh bhī ye hindostāñ ḳhāmosh hai

    zulmatoñ aañch se jhulse ġharīboñ ke ghar

    aag baḌhtī rahī hai aur dhuāñ ḳhāmosh hai

    thā chaman gulzār pahle ab hai ujḌī vādiyāñ

    ho gayā barbād gulshan bāġhbāñ ḳhāmosh hai

    jānte to haiñ yahāñ sab siyāsat ke fareb

    kyā ḳhabar kis maslahat se har zabāñ ḳhāmosh hai

    wahshaten phaili hain har su do-jahan KHamosh hai

    hai zamin girya-kunan aur aasman KHamosh hai

    beTiyon ke man hona chahiye apman hai

    dekh kar sab kuchh bhi ye hindostan KHamosh hai

    zulmaton ki aanch se jhulse gharibon ke hi ghar

    aag baDhti ja rahi hai aur dhuan KHamosh hai

    tha chaman gulzar pahle ab hai ujDi wadiyan

    ho gaya barbaad gulshan baghban KHamosh hai

    jaante to hain yahan sab hi siyasat ke fareb

    kya KHabar kis maslahat se har zaban KHamosh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now