Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahshaton ka kabhi shaidai nahin tha itna

Khatir Ghaznavi

wahshaton ka kabhi shaidai nahin tha itna

Khatir Ghaznavi

MORE BYKhatir Ghaznavi

    vahshatoñ kabhī shaidā.ī nahīñ thā itnā

    jaise ab huuñ tirā saudā.ī nahīñ thā itnā

    bār-hā dil ne tirā qurb bhī chāhā thā magar

    aaj tarah tamannā.ī nahīñ thā itnā

    is se pahle bhī ka.ī baar mile the lekin

    shauq dildāda-e-rusvā.ī nahīñ thā itnā

    paas rah kar mujhe yuuñ qurb ehsās na thā

    duur rah kar ġham-e-tanhā.ī nahīñ thā itnā

    apne sāyoñ meñ kyuuñ kho ga.iiñ nazreñ 'ḳhātir'

    kabhī apnā tamāshā.ī nahīñ thā itnā

    wahshaton ka kabhi shaidai nahin tha itna

    jaise ab hun tera saudai nahin tha itna

    bar-ha dil ne tera qurb bhi chaha tha magar

    aaj ki tarah tamannai nahin tha itna

    is se pahle bhi kai bar mile the lekin

    shauq dildada-e-ruswai nahin tha itna

    pas rah kar mujhe yun qurb ka ehsas na tha

    dur rah kar gham-e-tanhai nahin tha itna

    apne hi sayon mein kyun kho gain nazren 'KHatir'

    tu kabhi apna tamashai nahin tha itna

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wahshaton ka kabhi shaidai nahin tha itna Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now