wahshaton ko bhi ab kamal kahan
vahshatoñ ko bhī ab kamāl kahāñ
ab junūñ kār-e-be-misāl kahāñ
ḳhud se bhī māñgtī nahīñ ḳhud ko
tujh se phir ḳhvāhish-e-savāl kahāñ
mere ham-rañg pairahan pahne
shaam aisī shikasta-hāl kahāñ
sub.h kī bhiiḌ meñ kahūñ kis se
ho ga.ī raat pā.emāl kahāñ
merī sab hālatoñ ko jaan sake
koī aisā sharīk-e-hāl kahāñ
tere ḳhvāboñ ke baa'd āñkhoñ meñ
ho sake raushnī bahāl kahāñ
be-irāda jo baḳhsh dī tū ne
is ḳhushī kā tujhe ḳhayāl kahāñ
DhūñDte DhūñDte maiñ thak bhī ga.ī
kho ga.e mere māh-o-sāl kahāñ
wahshaton ko bhi ab kamal kahan
ab junun kar-e-be-misal kahan
KHud se bhi mangti nahin KHud ko
tujh se phir KHwahish-e-sawal kahan
mere ham-rang pairahan pahne
sham aisi shikasta-haal kahan
subh ki bhiD mein kahun kis se
ho gai raat paemal kahan
meri sab haalaton ko jaan sake
koi aisa sharik-e-haal kahan
tere KHwabon ke ba'd aankhon mein
ho sake raushni bahaal kahan
be-irada jo baKHsh di tu ne
is KHushi ka tujhe KHayal kahan
DhunDte DhunDte main thak bhi gai
kho gae mere mah-o-sal kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.