wahshi hun main kya shai hai bayaban mere aage
vahshī huuñ maiñ kyā shai hai bayābāñ mire aage
majnūñ huuñ maiñ kyā jaib-o-garebāñ mire aage
rakhtā huuñ maiñ sau dāġh-e-firāq ik jigar par
hai ḳhaar se kam-rutba gulistāñ mire aage
dozaḳh ko bujhātā huuñ maiñ ik ashk se apne
hai qatre se kam nuuh kā tūfāñ mire aage
rotī hai mire ḳhauf se shabnam ba-sar-e-gul
islāh ko bulbul hai ġhazal-ḳhvāñ mire aage
āshiq huuñ mirī jaan hathelī pe dharī hai
kyā taab ki ho ḳhanjar-e-burrāñ mire aage
duniyā kī shash-o-panj meñ 'nāyāb' kahāñ tak
ye kaam haiñ sab bāzī-e-tiflāñ mire aage
wahshi hun main kya shai hai bayaban mere aage
majnun hun main kya jaib-o-gareban mere aage
rakhta hun main sau dagh-e-firaq ek jigar par
hai KHar se kam-rutba gulistan mere aage
dozaKH ko bujhata hun main ek ashk se apne
hai qatre se kam nuh ka tufan mere aage
roti hai mere KHauf se shabnam ba-sar-e-gul
islah ko bulbul hai ghazal-KHwan mere aage
aashiq hun meri jaan hatheli pe dhari hai
kya tab ki ho KHanjar-e-burran mere aage
duniya ki shash-o-panj mein 'nayab' kahan tak
ye kaam hain sab bazi-e-tiflan mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.