waisa kahan hai humse jaisa ki aage tha tu
vaisā kahāñ hai ham se jaisā ki aage thā tū
auroñ se mil ke pyāre kuchh aur ho gayā tū
chāleñ tamām be-Dhab bāteñ fareb haiñ sab
hāsil ki ai shukr lab ab vo nahīñ rahā tū
jaate nahīñ uThā.e ye shor har sahar ke
yā ab chaman meñ bulbul ham hī raheñge yā tū
aa abr ek do dam aapas meñ rakheñ sohbat
kuḌhne ko huuñ maiñ āñdhī rone ko hai balā tū
taqrīb par bhī to tū pahlū tahī kare hai
das baar iid aa.ī kab kab gale milā tū
tere dahan se us ko nisbat ho kuchh to kahiye
gul go kare hai da.avā ḳhātir meñ kuchh na lā tū
dil kyūñke raast aave da.avā-e-āshnā.ī
dariyā-e-husn vo mah-e-kashtī-ba-kaf gadā tū
har fard yaas abhī se daftar hai tujh gale kā
hai qahr jab ki hogā harfoñ se āshnā tū
aalam hai shauq-e-kushta-e-ḳhilqat hai terī rafta
jānoñ kī aarzū tū āñkhoñ kā mudda.ā tū
muñh kariye jis taraf ko so hī tirī taraf hai
par kuchh nahīñ hai paidā kīdhar hai a ḳhudā tū
aatī ba-ḳhud nahīñ hai bād-e-bahār ab tak
do gaam thā chaman meñ Tak naaz se chalā tū
kam merī aur aanā kam aañkh kā milānā
karne se ye adā.eñ hai mudda.ā ki jā tū
guft-o-shunūd aksar mere tire rahe hai
zālim muaaf rakhiyo merā kahā-sunā to
kah sāñjh ke muue ko ai 'mīr' roiiñ kab tak
jaise charāġh-e-muflis ik-dam meñ jal bujhā to
waisa kahan hai hum se jaisa ki aage tha tu
auron se mil ke pyare kuchh aur ho gaya tu
chaalen tamam be-Dhab baaten fareb hain sab
hasil ki ai shukr lab ab wo nahin raha tu
jate nahin uThae ye shor har sahar ke
ya ab chaman mein bulbul hum hi rahenge ya tu
aa abr ek do dam aapas mein rakhen sohbat
kuDhne ko hun main aandhi rone ko hai bala tu
taqrib par bhi to tu pahlu tahi kare hai
das bar id aai kab kab gale mila tu
tere dahan se us ko nisbat ho kuchh to kahiye
gul go kare hai dawa KHatir mein kuchh na la tu
dil kyunke rast aawe dawa-e-ashnai
dariya-e-husn wo mah-e-kashti-ba-kaf gada tu
har fard yas abhi se daftar hai tujh gale ka
hai qahr jab ki hoga harfon se aashna tu
aalam hai shauq-e-kushta-e-KHilqat hai teri rafta
jaanon ki aarzu tu aankhon ka muddaa tu
munh kariye jis taraf ko so hi teri taraf hai
par kuchh nahin hai paida kidhar hai a KHuda tu
aati ba-KHud nahin hai baad-e-bahaar ab tak
do gam tha chaman mein Tak naz se chala tu
kam meri aur aana kam aankh ka milana
karne se ye adaen hai muddaa ki ja tu
guft-o-shunud aksar mere tere rahe hai
zalim muaf rakhiyo mera kaha-suna to
kah sanjh ke mue ko ai 'mir' roin kab tak
jaise charagh-e-muflis ik-dam mein jal bujha to
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0388
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.