Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waise dekhen to ye ta-hadd-e-nazar rahte hain

Navin Joshi

waise dekhen to ye ta-hadd-e-nazar rahte hain

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    vaise dekheñ to ye tā-hadd-e-nazar rahte haiñ

    dar-ba-dar phir bhī yahāñ log magar rahte haiñ

    thā bharosā jahāñ vo bastiyāñ mismār huiiñ

    ab vahāñ bad-gumāñ aur tanhā nagar rahte haiñ

    khiḌkiyāñ ūñche gharoñ to khuleñ bhī shāyad

    un ke darvāze sabhī band par rahte haiñ

    dil ke dariyā meñ safīne ko utāreñ kaise

    us meñ maujoñ se ziyāda to bhañvar rahte haiñ

    haiñ paḌe hoñToñ pe aqfāl-e-ḳhamoshī jin ke

    apne sīnoñ meñ chhupā.e vo ġhadar rahte haiñ

    ho vo insān vahshī magar is jañgal meñ

    sab pahan kar ye libāda-e-bashar rahte haiñ

    ham hamesha rahe bāshinde hisāroñ ke

    so na rahte haiñ idhar aur na udhar rahte haiñ

    waise dekhen to ye ta-hadd-e-nazar rahte hain

    dar-ba-dar phir bhi yahan log magar rahte hain

    tha bharosa jahan wo bastiyan mismar huin

    ab wahan bad-guman aur tanha nagar rahte hain

    khiDkiyan unche gharon ki to khulen bhi shayad

    un ke darwaze sabhi band hi par rahte hain

    dil ke dariya mein safine ko utaren kaise

    us mein maujon se ziyaada to bhanwar rahte hain

    hain paDe honTon pe aqfal-e-KHamoshi jin ke

    apne sinon mein chhupae wo ghadar rahte hain

    ho wo insan ya wahshi magar is jangal mein

    sab pahan kar ye libaada-e-bashar rahte hain

    hum hamesha rahe bashinde hisaron ke hi

    so na rahte hain idhar aur na udhar rahte hain

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now