waise is aab-o-gil mein kya na hua
vaise is āb-o-gil meñ kyā na huā
koī banda magar ḳhudā na huā
uf re un ke jamāl kā aalam
mujh se iz.hār-e-mudda.ā na huā
sāqī-e-mai-kadā ne jo de dī
maiñ use pī ke bad-maza na huā
mujh se ibrat jahāñ ko hāsil hai
maiñ burā ho ki bhī burā na huā
zaḳhm dil kā shumār kaun kare
tiir us kā koī ḳhatā na huā
qaid-e-ġham se magar rihā nā huā
maiñ ne koshish bhī kī duā bhī kī
qaid-e-ġham se magar rihā na huā
mar gayā 'āsī'-e-shikasta-dil
ye bhī achchhā huā burā na huā
waise is aab-o-gil mein kya na hua
koi banda magar KHuda na hua
uf re un ke jamal ka aalam
mujh se izhaar-e-muddaa na hua
saqi-e-mai-kada ne jo de di
main use pi ke bad-maza na hua
mujh se ibrat jahan ko hasil hai
main bura ho ki bhi bura na hua
zaKHm dil ka shumar kaun kare
tir us ka koi KHata na hua
qaid-e-gham se magar riha na hua
main ne koshish bhi ki dua bhi ki
qaid-e-gham se magar riha na hua
mar gaya 'asi'-e-shikasta-dil
ye bhi achchha hua bura na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.