waise to ek dusre ki sab sunte hain
vaise to ik dūsre kī sab sunte haiñ
jin ko sunānā chāhtā huuñ kab sunte haiñ
ab bhī vahī din raat haiñ lekin farq ye hai
pahle bolā karte the ab sunte haiñ
shak apnī hī zaat pe hone lagtā hai
apnī bāteñ dūsroñ se jab sunte haiñ
mahfil meñ jin ko sunñe kī taab na thī
vo bāteñ tanhā.ī meñ ab sunte haiñ
jiinā ham ko vaise bhī kab aatā thā
badal ga.e haiñ jiine ke Dhab sunte haiñ
āñkheñ chhū kar dekhtī haiñ āvāzoñ ko
kaan duhā.ī dete haiñ lab sunte haiñ
sunte zarūr haiñ duniyā vaale bhī 'shahzād'
kahne kī ḳhvāhish na rahe tab sunte haiñ
waise to ek dusre ki sab sunte hain
jin ko sunana chahta hun kab sunte hain
ab bhi wahi din raat hain lekin farq ye hai
pahle bola karte the ab sunte hain
shak apni hi zat pe hone lagta hai
apni baaten dusron se jab sunte hain
mahfil mein jin ko sunne ki tab na thi
wo baaten tanhai mein ab sunte hain
jina hum ko waise bhi kab aata tha
badal gae hain jine ke Dhab sunte hain
aankhen chhu kar dekhti hain aawazon ko
kan duhai dete hain lab sunte hain
sunte zarur hain duniya wale bhi 'shahzad'
kahne ki KHwahish na rahe tab sunte hain
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 574)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.