waise to insan KHuda ka KHas KHalifa banta hai
vaise to insān ḳhudā kā ḳhaas ḳhalīfa bantā hai
lekin jo hālāt haiñ is ke un par ronā bantā hai
ham bhī tere saath khaḌe haiñ sabz rutoñ ke manzar meñ
phuul aur kāñTe saath raheñ to phir bāġhīcha bantā hai
kitnī tahzībeñ miTtī haiñ phir bantī hai ik tahzīb
kitnī nasloñ kī mehnat se ek ravayya bantā hai
maiñ kahtā huuñ qarya qarya DhūñD ke miltā hai ik shaḳhs
maiñ kahtā huuñ dariyā dariyā mil kar qatra bantā hai
saaya kyā ham-zād bhī aise vaqt meñ saath nahīñ detā
chhoḌ ke jaane vaale terā chhoḌ ke jaanā bantā hai
har mauqa par piiTh ke pīchhe ḳhanjar ghoñpne vaalā shaḳhs
sāmne jab aa jaatā hai to kitnā achchhā bantā hai
felun felun karne se ash.ār nahīñ bante haiñ dost
dhāro dhaar lahū girtā hai misrā misrā bantā hai
waise to insan KHuda ka KHas KHalifa banta hai
lekin jo haalat hain is ke un par rona banta hai
hum bhi tere sath khaDe hain sabz ruton ke manzar mein
phul aur kanTe sath rahen to phir baghicha banta hai
kitni tahziben miTti hain phir banti hai ek tahzib
kitni naslon ki mehnat se ek rawayya banta hai
main kahta hun qarya qarya DhunD ke milta hai ek shaKHs
main kahta hun dariya dariya mil kar qatra banta hai
saya kya ham-zad bhi aise waqt mein sath nahin deta
chhoD ke jaane wale tera chhoD ke jaana banta hai
har mauqa par piTh ke pichhe KHanjar ghonpne wala shaKHs
samne jab aa jata hai to kitna achchha banta hai
felun felun karne se ashaar nahin bante hain dost
dhaaro dhaar lahu girta hai misra misra banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.