waise to sare log hi pani ke ho rahe
vaise to saare log hī paanī ke ho rahe
un meñ se kuchh hī log ravānī ke ho rahe
chalne lage to naql-e-makānī ke ho rahe
un meñ se ham nahīñ haiñ jo naanī ke ho rahe
din bhar rahe nisār chaman meñ gulāb par
Dhalte hī shaam raat kī raanī ke ho rahe
soz-o-gudāz shauq-o-havas jur.at-o-junūñ
kirdār mere us kī kahānī ke ho rahe
ham ko hamārī tez-ravī ne kiyā halāk
bachpan meñ hī to the ki javānī ke ho rahe
maiñ be-libās thā mirī chādar the mere sher
sūrat-harām saare ma.ānī ke ho rahe
taslīm dostoñ ne diyā is qadar fareb
majbūr ho ke dushman-e-jānī ke ho rahe
waise to sare log hi pani ke ho rahe
un mein se kuchh hi log rawani ke ho rahe
chalne lage to naql-e-makani ke ho rahe
un mein se hum nahin hain jo nani ke ho rahe
din bhar rahe nisar chaman mein gulab par
Dhalte hi sham raat ki rani ke ho rahe
soz-o-gudaz shauq-o-hawas jurat-o-junun
kirdar mere us ki kahani ke ho rahe
hum ko hamari tez-rawi ne kiya halak
bachpan mein hi to the ki jawani ke ho rahe
main be-libas tha meri chadar the mere sher
surat-haram sare maani ke ho rahe
taslim doston ne diya is qadar fareb
majbur ho ke dushman-e-jaani ke ho rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.