waise tumhein to aata nazar sab durust hai
vaise tumheñ to aatā nazar sab durust hai
chehre haiñ kyuuñ udaas agar sab durust hai
jaale tane hue haiñ darīchoñ meñ shahr ke
kahtā hai shahr-e-yār magar sab durust hai
hal yuuñ huā hai tishnagi-e-teġh kā savāl
maqtal meñ ho kisī kā bhī sar sab durust hai
maqsad to tajraba hai davā kā shifā nahīñ
kuchh bhī marīz par ho asar sab durust hai
jannat tū apnī dekh udhar kuchh kamī na ho
dozaḳh kī fikr chhoḌ idhar sab durust hai
bā-iḳhtiyār jo bhī ho us kī yahī hai soch
hai is meñ jo bhī aib o hunar sab durust hai
sāñseñ atā haiñ jis kī vasā.el bhī us kī den
phir jaise zindagī ho basar sab durust hai
bas ye huā ki chhupte hī aḳhbār bik gayā
sachchī hai yā ki jhūTī ḳhabar sab durust hai
waise tumhein to aata nazar sab durust hai
chehre hain kyun udas agar sab durust hai
jale tane hue hain darichon mein shahr ke
kahta hai shahr-e-yar magar sab durust hai
hal yun hua hai tishnagi-e-tegh ka sawal
maqtal mein ho kisi ka bhi sar sab durust hai
maqsad to tajraba hai dawa ka shifa nahin
kuchh bhi mariz par ho asar sab durust hai
jannat tu apni dekh udhar kuchh kami na ho
dozaKH ki fikr chhoD idhar sab durust hai
ba-iKHtiyar jo bhi ho us ki yahi hai soch
hai is mein jo bhi aib o hunar sab durust hai
sansen ata hain jis ki wasael bhi us ki den
phir jaise zindagi ho basar sab durust hai
bas ye hua ki chhupte hi aKHbar bik gaya
sachchi hai ya ki jhuTi KHabar sab durust hai
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 357)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.