wajd-e-ahl-e-kamal hai kuchh aur
vajd-e-ahl-e-kamāl hai kuchh aur
shaiḳh-sāhib kā haal hai kuchh aur
hosh jaatā hai ahl-e-hosh kā sun
tere mastoñ kā haal hai kuchh aur
faḳhr-e-insāñ nahīñ malak honā
jī meñ apne ḳhayāl hai kuchh aur
jis ko kahte haiñ vasl vasl nahīñ
ma.anī-e-ittisāl hai kuchh aur
ġhair-e-harf-e-niyāz so bhī kabhū
kah sakūñ huuñ majāl hai kuchh aur
ruḳh-e-ḳhurshīd par kahāñ vo nuur
mere mah kā jamāl hai kuchh aur
sarv! da.avā-e-ham-sarī mat kar
vo qad-e-naunihāl hai kuchh aur
kabk tū ḳhush-ḳhirām hai lekin
yaar kī mere chaal hai kuchh aur
dekh chal tū bhī hālat-e-'bedār'
aaj us kā to haal hai kuchh aur
wajd-e-ahl-e-kamal hai kuchh aur
shaiKH-sahib ka haal hai kuchh aur
hosh jata hai ahl-e-hosh ka sun
tere maston ka haal hai kuchh aur
faKHr-e-insan nahin malak hona
ji mein apne KHayal hai kuchh aur
jis ko kahte hain wasl wasl nahin
mani-e-ittisal hai kuchh aur
ghair-e-harf-e-niyaz so bhi kabhu
kah sakun hun majal hai kuchh aur
ruKH-e-KHurshid par kahan wo nur
mere mah ka jamal hai kuchh aur
sarw! dawa-e-ham-sari mat kar
wo qad-e-naunihaal hai kuchh aur
kabk tu KHush-KHiram hai lekin
yar ki mere chaal hai kuchh aur
dekh chal tu bhi haalat-e-'bedar'
aaj us ka to haal hai kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.