wajd mein mauj-e-saba hai shayad
vajd meñ mauj-e-sabā hai shāyad
phir koī naġhma-sarā hai shāyad
dil masarrat se judā hai shāyad
vo nazar mujh se ḳhafā hai shāyad
qāfila bhaTkā huā hai shāyad
rāhzan rāh-numā hai shāyad
is tarah zahr-e-ġham-e-dil piinā
jurm-e-ulfat kī sazā hai shāyad
rahrav-e-shauq ko manzil na milī
rāsta bhuul gayā hai shāyad
tere ehsās kā ai jān-e-vafā
aa.ina TuuT gayā hai shāyad
bekalī dard-e-jigar soz-e-vafā
merī qismat kā likhā hai shāyad
ġham se mānūs hai is vāste dil
ġham mohabbat kā sila hai shāyad
mere hamrāh rah-e-ulfat meñ
rañg-o-nik.hat kī fazā hai shāyad
har-nafas par ye gumāñ hotā hai
tū mere dil kī sadā hai shāyad
chheḌ kar pyaar ke naġhmoñ ko 'nigār'
saaz ḳhāmosh huā hai shāyad
wajd mein mauj-e-saba hai shayad
phir koi naghma-sara hai shayad
dil masarrat se juda hai shayad
wo nazar mujh se KHafa hai shayad
qafila bhaTka hua hai shayad
rahzan rah-numa hai shayad
is tarah zahr-e-gham-e-dil pina
jurm-e-ulfat ki saza hai shayad
rahraw-e-shauq ko manzil na mili
rasta bhul gaya hai shayad
tere ehsas ka ai jaan-e-wafa
aaina TuT gaya hai shayad
bekali dard-e-jigar soz-e-wafa
meri qismat ka likha hai shayad
gham se manus hai is waste dil
gham mohabbat ka sila hai shayad
mere hamrah rah-e-ulfat mein
rang-o-nikhat ki faza hai shayad
har-nafas par ye guman hota hai
tu mere dil ki sada hai shayad
chheD kar pyar ke naghmon ko 'nigar'
saz KHamosh hua hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.