wajh jine ki tumhaara sath hai
vaj.h jiine kī tumhārā saath hai
zindagī goyā tumhāre haath hai
merī badnāmī mirī taqdīr thī
log kahte haiñ tumhārā haath hai
jānte haiñ ham ki tum aise nahīñ
toḌ na denā bharam jo saath hai
moh lene kā ye fan jo tujh meñ hai
merī ulfat kā bhī is meñ haath hai
kyā kareñ ham bas meñ apne kuchh nahīñ
phir bhī jiine kī tamannā saath hai
hasrateñ lākhoñ simaT kar aa ga.iiñ
ek muTThī dil jo apne saath hai
shaḳhsiyat apnī bikhar saktī nahīñ
dostī kā aur vafā kā saath hai
sūrat-e-‘uzmā’ jo badlī sī lagī
gardish-e-daur-e-zamāñ kā haath hai
wajh jine ki tumhaara sath hai
zindagi goya tumhaare hath hai
meri badnami meri taqdir thi
log kahte hain tumhaara hath hai
jaante hain hum ki tum aise nahin
toD na dena bharam jo sath hai
moh lene ka ye fan jo tujh mein hai
meri ulfat ka bhi is mein hath hai
kya karen hum bas mein apne kuchh nahin
phir bhi jine ki tamanna sath hai
hasraten lakhon simaT kar aa gain
ek muTThi dil jo apne sath hai
shaKHsiyat apni bikhar sakti nahin
dosti ka aur wafa ka sath hai
surat-e-‘uzma’ jo badli si lagi
gardish-e-daur-e-zaman ka hath hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.