wajud ab mera la-fana ho gaya
vajūd ab mirā lā-fanā ho gayā
fanā ho ke juzv-e-baqā ho gayā
muqaddas hai aalam meñ zauq-e-fanā
ki uqda do-ālam kā vā ho gayā
huā āshkārā adam se vajūd
likhā thā jo taqdīr kā ho gayā
na ham the na hañgāma-e-kā.enāt
khulī aañkh aur ḳhvāb sā ho gayā
haqīqat huā rafta rafta majāz
rasā tāle-e-nā-rasā ho gayā
tirā āstāna haram ho ki dair
musāvāt-e-shāh-o-gadā ho gayā
na kuchh hosh apnā na hai kuchh ḳhabar
ḳhudā jaane 'sāhir' ko kyā ho gayā
wajud ab mera la-fana ho gaya
fana ho ke juzw-e-baqa ho gaya
muqaddas hai aalam mein zauq-e-fana
ki uqda do-alam ka wa ho gaya
hua aashkara adam se wajud
likha tha jo taqdir ka ho gaya
na hum the na hangama-e-kaenat
khuli aankh aur KHwab sa ho gaya
haqiqat hua rafta rafta majaz
rasa tale-e-na-rasa ho gaya
tera aastana haram ho ki dair
musawat-e-shah-o-gada ho gaya
na kuchh hosh apna na hai kuchh KHabar
KHuda jaane 'sahir' ko kya ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.