wajud-e-dard rahta hai koi surat ho darman ki
vajūd-e-dard rahtā hai koī sūrat ho darmāñ kī
ki tark-e-ārzū par bhī ḳhalish baaqī hai armāñ kī
tamanna aur tamanna bhī sukūn-e-dard-e-hijrāñ kī
bhalā tā۔bīr kyā honī thī ik ḳhvāb-e-pareshāñ kī
dil-e-be-bāk zabt-e-shauq kā pahle na qaa.il thā
mohabbat asl meñ fitrat badal detī hai insāñ kī
zamāna kuchh kahe mujh ko zamāne se ġharaz kyā hai
zarā tum bhī to socho maiñ ne kyoñ hālat pareshāñ kī
haqīqat meñ tumheñ kuchh mujh se zid sī ho ga.ī varna
kabhī kāfir ke muñh se bhī nikal jaatī hai īmāñ kī
ḳhudā jaane junūn-e-shauq kā anjām kyā hogā
agar un tak ḳhabar pahuñchī mire hāl-e-pareshāñ kī
agar qalb-e-junūñ-mashrab sharīk-e-hāl hai 'naḳhshab'
to ham se ho chukīñ pābandiyāñ ādāb-e-zindāñ kī
wajud-e-dard rahta hai koi surat ho darman ki
ki tark-e-arzu par bhi KHalish baqi hai arman ki
tamanna aur tamanna bhi sukun-e-dard-e-hijran ki
bhala ta۔bir kya honi thi ek KHwab-e-pareshan ki
dil-e-be-bak zabt-e-shauq ka pahle na qail tha
mohabbat asl mein fitrat badal deti hai insan ki
zamana kuchh kahe mujh ko zamane se gharaz kya hai
zara tum bhi to socho main ne kyon haalat pareshan ki
haqiqat mein tumhein kuchh mujh se zid si ho gai warna
kabhi kafir ke munh se bhi nikal jati hai iman ki
KHuda jaane junun-e-shauq ka anjam kya hoga
agar un tak KHabar pahunchi mere haal-e-pareshan ki
agar qalb-e-junun-mashrab sharik-e-haal hai 'naKHshab'
to hum se ho chukin pabandiyan aadab-e-zindan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.