wajud-e-ishq ka koi sira mila nahin mila
vajūd-e-ishq kā koī sirā milā nahīñ milā
ḳhudī milī nahīñ milī ḳhudā milā nahīñ milā
tamām shahr meñ mile gale hazār raat se
magar kahīñ kisī jagah diyā milā nahīñ milā
tumheñ hamārī ruuh ke nishāñ mile nahīñ mile
hameñ tumhāre jism kā patā milā nahīñ milā
ye ahd rad kā ahd thā so rasm mustarad huī
masīh-e-vaqt daar par khaḌā milā nahīñ milā
zamīn-e-dasht-e-yād bhī havā-e-sañg-dil kī hai
koī nishān der tak paḌā milā nahīñ milā
wajud-e-ishq ka koi sira mila nahin mila
KHudi mili nahin mili KHuda mila nahin mila
tamam shahr mein mile gale hazar raat se
magar kahin kisi jagah diya mila nahin mila
tumhein hamari ruh ke nishan mile nahin mile
hamein tumhaare jism ka pata mila nahin mila
ye ahd rad ka ahd tha so rasm mustarad hui
masih-e-waqt dar par khaDa mila nahin mila
zamin-e-dasht-e-yaad bhi hawa-e-sang-dil ki hai
koi nishan der tak paDa mila nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.