wajud-e-KHak se bahar nikal dega wo
vajūd-e-ḳhāk se bāhar nikāl degā vo
mujhe bhī apne sarāpe meñ Dhaal degā vo
maiñ jāntā huuñ mohabbat meñ hārne ke ba.ad
sabhī ke sāmne merī misāl degā vo
shikoh-e-baḳht pe masrūr shaḳhs ko āḳhir
kisī faqīr ke qadmoñ meñ Daal degā vo
maiñ us ke haq meñ yahāñ āḳhirī duā-go huuñ
mujhe bhī apnī safoñ se nikāl degā vo
koī to shakl hai maujūd mujh meñ bhī 'shahzād'
maiñ sañg huuñ to mujhe ḳhadd-o-ḳhāl degā vo
wajud-e-KHak se bahar nikal dega wo
mujhe bhi apne sarape mein Dhaal dega wo
main jaanta hun mohabbat mein haarne ke baad
sabhi ke samne meri misal dega wo
shikoh-e-baKHt pe masrur shaKHs ko aaKHir
kisi faqir ke qadmon mein Dal dega wo
main us ke haq mein yahan aaKHiri dua-go hun
mujhe bhi apni safon se nikal dega wo
koi to shakl hai maujud mujh mein bhi 'shahzad'
main sang hun to mujhe KHadd-o-KHal dega wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.