wajud garche mera KHak-e-muKHtasar se uTha
wajud garche mera KHak-e-muKHtasar se uTha
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
vajūd garche mirā ḳhāk-e-muḳhtasar se uThā
mah-o-nujūm kā halqa mirī sharar se uThā
badal gayā hai mirī kisht-e-jāñ ḳharābe meñ
vo hashr jo ki tirī chashm-e-fitnagar se uThā
junūn-e-shauq to har pal hai goyā pā-ba-rikāb
takān kahtī hai ab paaoñ ko safar se uThā
sharāb-e-vasl kī mad.hoshī hai rag-o-pai meñ
asīr-e-zulf ko ab husn ke asar se uThā
na qat.a kī hai zarūrat na ehtiyāj-e-qafas
yaqīn hī jo parinde kā bāl-o-par se uThā
mah-o-nujūm mire baḳht par the rashk-kunāñ
ġhubār ban ke maiñ jab terī rah-guzar se uThā
savāl-e-nazr-e-karam kyā ki terī diid ke ba.ad
maiñ be-murād kahāñ tere sang-e-dar se uThā
laraz ke rah gayā qātil bhī chand saa.at ko
jab irti.āsh mire jism-e-be-asar se uThā
tamām umr rahī us kī justujū 'ḳhāvar'
jo dard ban ke kabhī dil kabhī jigar se uThā
wajud garche mera KHak-e-muKHtasar se uTha
mah-o-nujum ka halqa meri sharar se uTha
badal gaya hai meri kisht-e-jaan KHarabe mein
wo hashr jo ki teri chashm-e-fitnagar se uTha
junun-e-shauq to har pal hai goya pa-ba-rikab
takan kahti hai ab paon ko safar se uTha
sharab-e-wasl ki madhoshi hai rag-o-pai mein
asir-e-zulf ko ab husn ke asar se uTha
na qata ki hai zarurat na ehtiyaj-e-qafas
yaqin hi jo parinde ka baal-o-par se uTha
mah-o-nujum mere baKHt par the rashk-kunan
ghubar ban ke main jab teri rah-guzar se uTha
sawal-e-nazr-e-karam kya ki teri did ke baad
main be-murad kahan tere sang-e-dar se uTha
laraz ke rah gaya qatil bhi chand saat ko
jab irtiash mere jism-e-be-asar se uTha
tamam umr rahi us ki justuju 'KHawar'
jo dard ban ke kabhi dil kabhi jigar se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.