wajud KHwab mein Dhal kar niDhaal thoDi hai
vajūd ḳhvāb meñ Dhal kar niDhāl thoḌī hai
mire shu.ūr meñ itnī majāl thoḌī hai
zamāna biit gayā ḳhud se rasm-o-rāh kiye
hamārā ḳhud se ta.alluq bahāl thoḌī hai
mire zamīn se uThte hue vajūd ko dekh
ye raqs-e-vajd hai pāgal dhamāl thoḌī hai
har ik maqām pe qaa.em rahe haiñ hosh-o-havās
hamārī qais ke jaisī misāl thoḌī hai
atā huī hai kisī dard intihā ke evaz
ye shā.irī mirā apnā kamāl thoḌī hai
ye zindagī hai kisī aur imtihān kā rog
mire nisāb meñ shāmil savāl thoḌī hai
haqā.eq-e-ġham-e-duniyā se mat churā āñkheñ
saroñ pe hijr tanā hai visāl thoḌī hai
hameñ to 'ābdī' shā.ir banā diyā us ne
ye ishq kār-e-suḳhan hai vabāl thoḌī hai
wajud KHwab mein Dhal kar niDhaal thoDi hai
mere shuur mein itni majal thoDi hai
zamana bit gaya KHud se rasm-o-rah kiye
hamara KHud se talluq bahaal thoDi hai
mere zamin se uThte hue wajud ko dekh
ye raqs-e-wajd hai pagal dhamal thoDi hai
har ek maqam pe qaem rahe hain hosh-o-hawas
hamari qais ke jaisi misal thoDi hai
ata hui hai kisi dard intiha ke ewaz
ye shairi mera apna kamal thoDi hai
ye zindagi hai kisi aur imtihan ka rog
mere nisab mein shamil sawal thoDi hai
haqaeq-e-gham-e-duniya se mat chura aankhen
saron pe hijr tana hai visal thoDi hai
hamein to 'abdi' shair bana diya us ne
ye ishq kar-e-suKHan hai wabaal thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.