wajud miT gaya parwanon ke sambhalne tak
vajūd miT gayā parvānoñ ke sambhalne tak
dhuāñ hī uThtā rahā sham.a ke pighalne tak
kise nasīb huī us ke jism kī ḳhushbū
vo mere saath rahā rāsta badalne tak
agar charāg kī lau par zabān rakh detā
zabān jaltī bhī kab tak charāg jalne tak
jahāñ bhī Thahroge ruk jā.egā tumhārā vajūd
tumhāre saath chalegā tumhāre chalne tak
abhī se raah meñ nazreñ bichhā ke mat baiTho
palaT ke aa.egā vo āftāb Dhalne tak
havā kā kyā hai na jaane ye kab badal jaa.e
badal chukegā zamāna tire badalne tak
sukūn kis ko milā zindagī kī rāhoñ meñ
ġhubār uThtā rahā qāfila nikalne tak
wajud miT gaya parwanon ke sambhalne tak
dhuan hi uThta raha shama ke pighalne tak
kise nasib hui us ke jism ki KHushbu
wo mere sath raha rasta badalne tak
agar charag ki lau par zaban rakh deta
zaban jalti bhi kab tak charag jalne tak
jahan bhi Thahroge ruk jaega tumhaara wajud
tumhaare sath chalega tumhaare chalne tak
abhi se rah mein nazren bichha ke mat baiTho
palaT ke aaega wo aaftab Dhalne tak
hawa ka kya hai na jaane ye kab badal jae
badal chukega zamana tere badalne tak
sukun kis ko mila zindagi ki rahon mein
ghubar uThta raha qafila nikalne tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.